Skip to main content

Ek Waqya

Ek waqya mere sath:
                                                                                                                                                                                          

Sab Tumhare Amal aur Niyat ka Natija Hota Hai-Jise Ham Qismat kehte hain
Kisi wajah se der ho gyi thi us din aur Magrib ki azaan ho chuki thi. Wah usi raaste se aaraha tha jis raste se sabhi log namaz ki traf ja rahe the. Usme se se kisi sakhs ne puchha bhi tha Namaz padne ko par usne uzr pesh kardiya.
Hala ki ye dil hi dil me soch raha tha ki Namaz k liye na jaun to to Rab naraz ho jayega aur agar chala jaun to school ko late hone ki wajah se director sunane lagega. School raat me chalta tha. Jo wahan se 5 kilo meter door waqe tha. 20 minutes the aur usko sawariyan badal badal kar jana tha-kuch dur cycle, kuch door auto rikshan aur fir kuch door paidal; us trah kafi late hojana tain tha.
Is baat ko lekar soch me tha ki kis ka farman baja laun-Rab kay a Sir ka. Niyat me iske khot paida hona shuru hui aur wo ye ke, “Namaz to aksar chhut jati hai. Har roz kit rah bad me pad lunga. Par late hui to dant ki insult bardasht nhi hogi aur duniya ki har zimmedari bhi to ibaadat hai. Use imaandari ke saath nibhana aur pure paise ko jayaz karna bhi to aham farman me se hai. Yahi sochta hua na padne ke iraade par muhar lagadi aur namaz ki or dawat dene wale bhai se bad me padne ko keh diya.
Dil me rab se guftagu karte hue school ki or chala aur kaha…. “Ya Rab kya yah achha hota ki ham teri ibaadat karte aur man-o-salwa khate. Tu kyun hame rizk k jaal me fasa diya hai aur ham is trah se  mashroof hain ki tujhe waqt nhi de pate. Chahat rakhte hue bhi ibaadat nhi kar pate hain, kaisa imtehaan hai tera?” Rab ne uski baat mumkin hai ki gaur se suni hogi aur usko namaz padne ka mauka diya.
Abhi kuch hi der chala tha ki khuda ka nezaam apni karwaten lena shuru kar diya. Use chheenk aana shuru hogyi aur control ke bahar hogyi. Kuch der cycle rok ke socha ki control ho jayega par aisa nhi hua; naak bhi behne lagi. Ab uske sare  bahane khatam hue aur phone nikal kar director ko kaha ki wo rashte se wapis ho raha hai kyunki uski tabiyat kharab ho rahi hai. Aur ijaazat badi hi aaram se mili jaisa usne socha bhi nhi tha. Khuda to bas usko iraade aur shaitani waswason ke bich dal kar uska faisla dekhna chahta tha.
Usne socha ki jab kismet me likha tha Namaz panda to fir usko koi nahi rok saka-na uska school aur nahi hone wali waqti bimari.




Popular posts from this blog

Feeling

Sweet feeling of love or bitter feeling of hatred, both originate in our body, does not come from someone outside. You must be the master of your feeling to arouse. None is there to be account for. When you think you are in love you feel sweet, no matter you have seen him/her/Him or you have heard him/her/Him say anything to you. Anything belonging to him/her/Him stimulate your feeling because you have believed you are in love.

Charity

Since the system of Allah starts working from beyond the limit of human mind, there is no need to check whether it comes in your intellect or not for beleiving in what is said by Allah or Mohammad(PBH). Now there is sayings in the holy Quraan that giving returns back in manyfolds, reduces miseries, we must do without thinking how it would be.

heart

Your heart is preoccupied by Allah Alone. You do not need to have someone to talk to. You can talk to Allah in your heart. He does not respond you in humanitarian way but He makes every thing work for you. He turns everyone affectionate towards you.